qad-e-sanam sā agar āfrīda honā thā
na sarv-e-bāġh ko itnā kashīda honā thā
huā hai zulf se gustāḳh kis qadar shāna
hamāre paas bhī dast-e-burīda honā thā
na khīñchnā thā zuleḳhā ko dāman-e-yūsuf
usī kā parda-e-ismat darīda honā thā
diyā na saath jo sabr-o-qarār ne na diyā
ravāna mulk-e-adam ko jarīda honā thā
miTā.e se koī miTtā hai bātiloñ ke haq
kuchh iḳhtiyār se kyā barguzīda honā thā
na jāntā thā ġhazab hai nigah kā tiir ai dil
tujhī ko sāmne āfat-rasīda honā thā
rulātā shām-o-sahar kis tarah na tāle-e-past
buland sar se mire āb-dīda honā thā
gurez-e-yār ne barbād kar diyā ham ko
ġhubār-e-rāh ġhazāl-e-ramīda honā thā
na aa.ī dāman-e-dāya meñ niiñd ai 'ātish'
darūn-e-dāman-e-ḳhāk āramīda honā thā