āshiq huuñ maiñ nafrat hai mire rañg ko rū se
paivand nahīñ chaak garebāñ ko rafū se
dāman mire qātil kā na rañgīñ ho lahū se
har-chand ki nazdīk ho rag-ha-e-gulū se
gulzār-e-jahāñ par na paḌī aañkh hamārī
kotāh thī umr apnī habāb-e-lab-e-jū se
kartā hai vo saffāk ḳhat-e-shauq ke purze
mehñdī malī jaatī hai kabūtar ke lahū se
āshiq huuñ magar karte haiñ māshūq ḳhushāmad
nāzuk hai tabī.at mirī bīmār kī ḳhū se