Haidar Ali Aatish

aaina sina-e-sahab-nazaran hai ki jo tha

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
aa.ina sīna-e-sāhab-nazarāñ hai ki jo thā
chehra-e-shāhid-e-maqsūd ayaañ hai ki jo thā
ishq-e-gul meñ vahī bulbul kā fuġhāñ hai ki jo thā
partav-e-mah se vahī hāl-e-katāñ hai ki jo thā
ālam-e-husn ḳhudā-dād-e-butāñ hai ki jo thā
nāz-o-andāz balā-e-dil-o-jāñ hai ki jo thā
raah meñ terī shab-o-roz basar kartā huuñ
vahī miil aur vahī sañg-e-nishāñ hai ki jo thā
roz karte haiñ shab-e-hijr ko bedārī meñ
apnī āñkhoñ meñ subuk ḳhvāb-e-girāñ hai ki jo thā
ek aalam meñ ho har-chand masīhā mash.hūr
nām-e-bīmār se tum ko ḳhafaqāñ hai ki jo thā
daulat-e-ishq kā ganjīna vahī siina hai
dāġh-e-dil zaḳhm-e-jigar mohr-o-nishāñ hai ki jo thā
nāz-o-andāz-o-adā se tumheñ sharm aane lagī
aarzī husn kā aalam vo kahāñ hai ki jo thā
jaañ kī taskīñ ke liye hālat-e-dil kahte haiñ
be yaqīnī kā tirī ham ko gumāñ hai ki jo thā
asar-e-manzil-e-maqsūd nahīñ duniyā meñ
raah meñ qāfila-e-reg-e-ravāñ hai ki jo thā
dahan us rū-e-kitābī meñ hai par nā-paidā
ism-e-āzam vahī qur.āñ meñ nihāñ hai ki jo thā
ka.aba-e-madd-e-nazar qibla-numā hai tā-hāl
kū-e-jānāñ kī taraf dil nigarāñ hai ki jo thā
koh-o-sahrā-o-gulistāñ meñ phirā kartā hai
mutalāshī vo tirā āb-e-ravāñ hai ki jo thā
sozish-e-dil se tasalsul hai vahī aahoñ kā
uud ke jalne se mujmir meñ dhuāñ hai ki jo thā
raat kaT jaatī hai bāteñ vahī sunte sunte
sham-e-mahfil sanam-e-charb-zabāñ hai ki jo thā
pā-e-ḳham mastoñ ke hū-haq kā jo aalam hai so hai
sar-e-mimbar vahī vaa.iz kā bayāñ hai ki jo thā
kaun se din na.ī qabreñ nahīñ is meñ bantīñ
ye ḳharāba vahī ibrat kā makāñ hai ki jo thā
be-ḳhabar shauq se mere nahīñ vo nūr-e-nigāh
qāsid-e-ashk shab-o-roz vahāñ hai ki jo thā
lailatul-qadr kināya na shab-e-vasl se ho
us kā afsāna miyān-e-ramazāñ hai ki jo thā
dīn-o-duniyā kā talabgār hanūz 'ātish' hai
ye gadā sā.il-e-nadq-e-do-jahāñ hai ki jo thā
Top Urdushayar.com