ġhairat-e-mahr rashk-e-māh ho tum
ḳhūbsūrat ho bādshāh ho tum
jis ne dekhā tumheñ vo mar hī gayā
husn se teġh-e-be-panāh ho tum
kyūñ-kar āñkheñ na ham ko dikhlāo
kaise ḳhush-chashm ḳhush-nigāh ho tum
husn meñ aap ke hai shān-e-ḳhudā
ishq-bāzoñ ke sajda-gāh ho tum
har libās aap ko hai zebinda
jāma-zeboñ ke bādshāh ho tum
fauq hai saare ḳhush-jamāloñ par
vo sitāre jo haiñ to maah ho tum
ham se parda vahī hijāb kā hai
kūcha-gardoñ se rū-barāh ho tum
kyuuñ mohabbat baḌhā.ī thī tum se
ham gunāhgār be-gunāh ho tum
jo ki haqq-e-vafā bajā laa.e
shāhid allāh hai gavāh ho tum
hai tumhārā ḳhayāl pesh-e-nazar
jis taraf jaa.eñ sadd-e-rāh ho tum
donoñ bande usī ke haiñ 'ātish'
ḳhvāh ham us meñ hoveñ ḳhvāh ho tum