Haidar Ali Aatish

mohabbat ka teri banda har ek ko ai sanam paya

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
mohabbat kā tirī banda har ik ko ai sanam paayā
barābar gardan-e-shāh-o-gadā donoñ ko ḳham paayā
ba-rañg-e-sham.a jis nai dil jalāyā terī duurī maiñ
to us nai manzil-e-maqsūd ko zer-e-qadam paayā
bajā karte haiñ āshiq tāq-e-abrū kī parastārī
yahī mehrāb-e-dair-o-ka.aba meñ bhī ham ne ḳham paayā
nishāna tīr-e-tohmat kā hai merā aḳhtar-e-tāle
uThā.ūñ daaġh maiñ to āsmāñ samjhe diram paayā
hazāroñ hasrateñ jāveñgī mere saath duniyā se
sharār-o-barq se bhī arsa-e-hastī ko kam paayā
sivā.e rañj kuchh hāsil nahīñ hai is ḳharābe maiñ
ġhanīmat jaan jo ārām tū ne koī dam paayā
nazar aayā tamāshā-e-jahāñ jab band kiiñ āñkheñ
safā-e-qalb se pahlū meñ ham ne jām-e-jam paayā
jalāyā aur maarā husn kī nairañg-sāzī ne
kabhī barq-e-ġhazab us ko kabhī abr-e-karam paayā
firāq-anjām kaam āġhāz-e-vaslat kā bilā shak hai
bahut royā maiñ rūh-o-tan ko jab mushtāq ham paayā
har ik jauhar meñ us kā naqsh-e-pā-e-raftagāñ samjhā
dam-e-shamshīr-e-qātil jāda-e-rāh-e-adam paayā
hamārā kāba-e-maqsūd terā tāq-e-abrū hai
tirī chashm-e-siyah ko ham ne āhu-e-haram paayā
huā hargiz na ḳhatt-e-shauq kā sāmāñ durust 'ātish'
siyāhī ho ga.ī nāyāb agar ham ne qalam paayā
Top Urdushayar.com