is ke kūche meñ masīhā har sahar jaatā rahā
be-ajal vaañ ek do har raat mar jaatā rahā
kū-e-jānāñ meñ bhī ab is kā pata miltā nahīñ
dil mirā ghabrā ke kyā jaane kidhar jaatā rahā
jānib-e-kohsār jā niklā jo maiñ to kohkan
apnā tesha mere sar se maar kar jaatā rahā
ne kashish ma.ashūq meñ paatā huuñ nai āshiq meñ jazb
kyā balā aa.ī mohabbat kā asar jaatā rahā
vāh-re andher bahr-e-raushnī-e-shahr-e-misr
dīda-e-yāqūb se nūr-e-nazar jaatā rahā
nashsha hī meñ yā ilāhī mai-kashoñ ko maut de
kyā guhar kī qadr jab āb-e-guhar jaatā rahā
ik na ik mūnis kī furqat kā falak ne ġham diyā
dard-e-dil paidā huā dard-e-jigar jaatā rahā
husn kho kar āshnā ham se huā vo naunihāl
pahuñche tab zer-e-shajar ham jab samar jaatā rahā
ranj-e-duniyā se farāġh izā-dahindoñ ko nahīñ
kab tap-e-shīr utrī kis din dard-e-sar jaatā rahā
fātiha paḌhne ko aa.e qabr-e-'ātish' par na yaar
do hī din meñ pās-e-ulfat is qadar jaatā rahā