Haidar Ali Aatish

aisi wahshat nahin dil ko ki sambhal jaunga

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
aisī vahshat nahīñ dil ko ki sambhal jā.ūñgā
sūrat-e-pairahan-e-tañg nikal jā.ūñgā
vo nahīñ huuñ ki rukhā.ī se jo Tal jā.ūñgā
aaj jaatā thā to zid se tirī kal jā.ūñgā
shām-e-hijrāñ kisī sūrat se nahīñ hotī sub.h
muñh chhupā kar maiñ añdhere meñ nikal jā.ūñgā
khīñch kar teġh kamar se kise dikhlāte ho
nāf-e-ma.ashūq nahīñ huuñ jo maiñ Tal jā.ūñgā
shab-e-hijr apnī siyāhī kise dikhlātī hai
kuchh maiñ laḌkā to nahīñ huuñ ki dahal jā.ūñgā
kūcha-e-yār kā saudā hai mire sar ke saath
paañv thak thak ke hoñ har-chand ki shal jā.ūñgā
zabt-e-betābī-e-dil kī nahīñ tāqat baaqī
koh-e-sabr ab ye sadā detā hai Tal jā.ūñgā
tāl-e-bad ke asar se ye yaqīñ hai mujh ko
terī hasrat hī meñ ai husn-e-amal jā.ūñgā
chaar din ziist ke guzreñge ta.assuf meñ mujhe
hāl-e-dil par kaf-e-afsos maiñ mal jā.ūñgā
sho.ala-rūyoñ ko na dikhlāo mujhe ai āñkho
mom se narm mirā dil hai pighal jā.ūñgā
hāl-e-pīrī kise ma.alūm javānī meñ thā
kyā samajhtā thā maiñ do din meñ badal jā.ūñgā
vahī dīvāngī merī hai bahār aane do
dekh kar laḌkoñ kī sūrat ko bahal jā.ūñgā
sher Dhalte haiñ mirī fikr se aaj ai 'ātish'
mar ke kal gor ke sāñche meñ maiñ Dhal jā.ūñgā
Top Urdushayar.com