husn kis roz ham se saaf huā
gunah-e-ishq kab muaaf huā
le liyā shukr kar ke saaqī se
dard is meñ huā ki saaf huā
teġh-e-qātil par apnā ḳhuun jam kar
maḳhmal-e-surḳh kā ġhilāf huā
zahr parhez ho gayā mujh ko
dard darmāñ se almuzāf huā
ḳhāksārī kī ho chukī me.arāj
siina apnā zamīn-e-sāf huā
kamar-e-yār ne dikhā.ī aañkh
mardum-dīda ḳhāl-e-nāf huā
va.ada jhūTā nakarda mard nahīñ
qaul se fe.al jab ḳhilāf huā
fātiha ko jo vo parī aa.ī
sañg-e-qabr apnā koh-qāf huā
us kamar ke subūt meñ aajiz
fikr kar kar ke mūshigāf huā
riñd-mashrab huuñ mujh ko kyā hove
maz.haboñ meñ jo iḳhtilāf huā
vo dahan huuñ na niklā harf-e-ġhurūr
vo zabāñ huuñ na jis se laaf huā
gird is kūcha ke phirā 'ātish'
haajī se ka.aba kā tavāf huā