Haidar Ali Aatish

kaba o dair mein hai kis ke liye dil jata

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
ka.aba o dair meñ hai kis ke liye dil jaatā
yaar miltā hai to pahlū hī meñ hai mil jaatā
ḳhidmat-e-yār meñ maiñ jabki huuñ saa.il jaatā
kuchh na kuchh bosa o dushnām se hai mil jaatā
tere dāñtoñ se jo hone ko muqābil jaatā
sūrat-e-ashk guhar ḳhaak meñ mil mil jaatā
phal milā hai ye tirī teġh se ham ko ai turk
phuuT kī tarah har ik zaḳhm hai khil khil jaatā
ruḳh ke hote hue DhūñDā na dahan kā mazmūn
sahal ko chhoḌ ke kyuuñ jānib-e-mushkil jaatā
par to katre haiñ yaqīn hai ki chhurī bhī phere
zamzamoñ se mire sayyād hai hil hil jaatā
zaḳhm-e-kārī kī tirī teġh se allāh-rī ḳhushī
raqs kartā huā duniyā se hai bismil jaatā
raah bhūle hue haajī hai bhaTaktā nāhaq
ka.abatullāh jo jaatā to sū-e-dil jaatā
tarfa rakhtī hai ḳharābāt-e-muġhāñ kaifiyyat
hoshiyār aa ke hai is bazm se ġhāfil jaatā
raah meñ shān-e-karīmī hai tirī bhar detī
phir ke ḳhālī kisī dar se jo hai saa.il jaatā
ai sabā tū hī uḌā kar ruḳh-e-lailā dikhlā
dast-e-majnūñ nahīñ tā-parda-e-mahmil jaatā
kaun sī rāhat-e-jāñ kī haiñ ye āñkheñ mushtāq
kar ke andher hai vo raunaq-e-mahfil jaatā
āmad-e-yār kī kānoñ se sunī hai jo ḳhabar
chhup ke pahlū se hai āñkhoñ kī taraf dil jaatā
Top Urdushayar.com