sar kaaT ke kar dījiye qātil ke havāle
himmat mirī kahtī hai ki ehsān-e-balā le
har qatra-e-ḳhūñ soz-e-darūñ se hai ik aḳhgar
jallād kī talvār meñ paḌ jā.eñge chhāle
nādān na ho aql atā kī hai ḳhudā ne
yūsuf kī tarah tum ko koī bech na Daale
hastī kī asīrī se sharar se haiñ sivā tañg
chhūTe to idhar phir ke nahīñ dekhne vaale
sālik ko yahī jaade se āvāz hai aatī
pāmāl jo ho raah vo manzil kī nikāle
sayyād chaman hī meñ kare murġh-e-chaman zab.h
labrez lahū se hī daraḳhtoñ ke hoñ thāle