Haidar Ali Aatish

bazar-e-dahr mein teri manzil kahan na thi

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
bāzār-e-dahr meñ tirī manzil kahāñ na thī
yūsuf na jis meñ ho koī aisī dukāñ na thī
zardī ne mere rañg kī mujh ko rulā diyā
hañsvā.e jo kisī ko ye vo zāfarāñ na thī
zāhir se ḳhūb-rūyoñ kā bātin ḳhilāf thā
shīrīñ-laboñ kī tarah se un kī zabāñ na thī
manzil hī duur hai jo ye pahuñchī nahīñ hanūz
dam lene vaalī raah meñ umr-e-ravāñ na thī
dikhlā.ī sair āñkhoñ ko bām-e-murād kī
aisī koī kamand koī nardbāñ na thī
qaus-e-quzah se ham ne bhī tashbīh dī use
chilla na hone se jo vo abrū kamāñ na thī
āgāh jazb-e-ishq-e-zuleḳhā se thā na husn
yūsuf ko chaah meñ ḳhabar-e-kārvāñ na thī
yaad aa ga.ī jo silk-e-guhar tere gosh kī
sūhān-e-rūh thī mujhe shab kahkashāñ na thī
rah jaanā pīchhe jism kā jaañ se ajab nahīñ
kis kārvāñ kī gard pas-e-kārvāñ na thī
nā-fahmī kī dalīl hai ye sajda se aayā
iblīs ko haqīqat-e-ādam ayaañ na thī
āshiq ke sar ke saath hai saudā-e-kū-e-yār
momin na thā vo jis ko havā-e-jināñ na thī
bāñg-e-jaras se aage har ik kā qadam rahā
gard apne kārvāñ ke pas-e-kārvāñ na thī
afsos kyā javānī-e-rafta kā kījiye
vo kaun sī bahār thī jis ko ḳhizāñ na thī
nāloñ se ek din na kiye garm gosh-e-yār
'ātish' magar tumhāre dahan meñ zabāñ na thī
Top Urdushayar.com