apnī ā.ankhoñ par vo nīndoñ kī ridā oḌhe hue
so rahā hai ḳhvāb kā ik silsila oḌhe hue
sardiyoñ kī raat meñ vo be-makāñ muflis bashar
kis tarah rahtā hai iklautī ridā oḌhe hue
ik ajab andāz se aa.ī lahad par ik dulhan
chūḌiyāñ toḌe hue dast-e-hinā oḌhe hue
ḳhair muqaddam ke liye baḌhne lagīñ merī taraf
manzileñ apne saroñ par rāsta oḌhe hue
peḌ ke nīche zarā sī chhāñv jo us ko milī
so gayā mazdūr tan par boriyā oḌhe hue
terī yādoñ ke charāġhoñ ne kiyā jhuk kar salām
jab chalī āñdhī koī zor-e-havā oḌhe hue
bhiiḌ meñ gum ho gayā ik roz 'shārib' kā vajūd
DhūñDhtā hai jism par apnā patā oḌhe hue