Haidar Ali Aatish

rujua banda ki hai is tarah KHuda ki taraf

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
rujūa banda kī hai is tarah ḳhudā kī taraf
phire zamīr-e-ḳhabar jaise mubtadā kī taraf
ba.iid kyā hai muravvat se terī ai shah-e-husn
nigāh-e-lutf se dekhe jo tū gadā kī taraf
kahāñ vo zulf kahāñ ḳhūn-e-nāfa-e-āhū
jo mushk samjhe haiñ vo log haiñ ḳhatā kī taraf
ulajh ke shāne se khātā hai saikḌoñ jhaTke
qusūr se ye tire gesū-e-rasā kī taraf
ḳhudā ne dard-e-mohabbat atā kiyā hai jise
use tavajjoh-e-ḳhātir nahīñ davā kī taraf
malā jo tum ne lahū dast-o-pā meñ āshiq kā
na hogā mel tabī.at ko phir hinā kī taraf
karegā yaar mirī jañg-e-ġhair meñ imdād
jo āshnā haiñ vo hote haiñ āshnā kī taraf
firāq-e-yār meñ rahtā hai yuuñ tasavvur-e-gor
ḳhayāl jaise musāfir kā ho sarā kī taraf
na hogā ham-safar-e-rūh paikar-e-ḳhākī
ye sū-e-arz-e-ravāñ hogā vo samā kī taraf
bahut ḳharāb rahā but-kade meñ ai 'ātish'
ḳhudā-parast hai chal ḳhāna-e-ḳhudā kī taraf
Top Urdushayar.com