Haidar Ali Aatish

is shash-jihat mein KHub teri justuju karen

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
is shash-jihat meñ ḳhuub tirī justujū kareñ
kaabe meñ chal ke sajda tujhe chār-sū kareñ
āshiq jo husn-e-pāk meñ kuchh guftugū kareñ
dāman kā pīchhe naam leñ pahle vazū kareñ
sharminda huuñ zamīñ meñ gaḌeñ surḳh-rū kareñ
ustādgī jo sarv tire rū-ba-rū kareñ
paidā kareñ jo tujh ko unhīñ ko hai dastaras
pāmard haiñ vahī jo tirī justujū kareñ
le jā chukī chaman meñ sabā bū-e-zulf-e-yār
sumbul ke silsile ko bhī barham vo mū kareñ
afsāna-goī af.ī-e-gesū-e-yār meñ
ḳhāmosh hoñ charāġh jo ham guftugū kareñ
dīvāngī kā silsila jaave na haath se
dāman ko phāḌiye jo garebāñ rafū kareñ
ai bādshāh-e-husn faqīroñ kī tarah se
āshiq duā-e-ḳhair tujhe kū-ba-kū kareñ
dīdār-e-ām kījiye parda uThā.iye
tā-chand banda-hā-e-ḳhudā aarzū kareñ
mastī meñ mujh se be-adabī hogī yaar se
mujh ko gunāh-gār na jām-o-subū kareñ
dīvān-e-husn meñ se hui hai ye intiḳhāb
āshiq-mizāj sair-e-bayāz-e-gulū kareñ
vird-e-zabāñ hai roz-o-shab in kī sanā-e-husn
shāyāñ hai jis qadar ki ye shā.er ġhulū kareñ
likh dete haiñ hasīnoñ ko ham ḳhatt-e-bandgī
mashq-e-sitam ko tark jo ye tund-ḳhū kareñ
hairān-kār huuñ tire ruḳhsār-e-sāf kā
sakta ho aa.ina jo tire rū-ba-rū kareñ
murġh-e-chaman hoñ zamzama-pairā bahār aa.ī
hañgāma garm shefta-e-rañg-o-bū kareñ
tāsīr-dār log haiñ allāh ke faqīr
sañg-e-sanam hoñ aab jo ham zikr-e-hū kareñ
maujūd go ki tū hai magar chāhtā hai shauq
āvāra hoñ talāsh tirī chaar sū kareñ
'ātish' ye vo zamīñ hai ki jis meñ ba-qaul-e-'dard'
dil hī nahīñ rahā hai jo kuchh aarzū kareñ
Top Urdushayar.com