Haidar Ali Aatish

chaman mein shab ko jo wo shoKH be-naqab aaya

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847

chaman meñ shab ko jo vo shoḳh be-naqāb aayā

yaqīn ho gayā shabnam ko āftāb aayā

un añkhḌiyoñ meñ agar nashsha-e-sharāb aayā

salām jhuk ke karūñgā jo phir hijāb aayā

kisī ke mahram-e-āb-e-ravāñ yaad aa.ī

habāb ke jo barābar kabhī habāb aayā

shab-e-firāq meñ mujh ko sulāne aayā thā

jagāyā maiñ ne jo afsāna-go ko ḳhvāb aayā

adam meñ hastī se kar yahī kahūñgā maiñ

hazār hasrat-e-zinda ko gaaḌ daab aayā

chakor husn-e-mah-e-chār-dah ko bhuul gayā

murād par jo tirā ālam-e-shabāb aayā

mohabbat-e-mai-o-māshūq tark kar 'ātish'

safed baal hue mausam-e-ḳhizāb aayā

Top Urdushayar.com