zinde vahī haiñ jo ki haiñ tum par mare hue
baaqī jo haiñ so qabr meñ murde bhare hue
mast-e-alast qulzum-e-hastī meñ aa.e haiñ
misl-e-habāb apnā piyāla bhare hue
allāh-re safā-e-tan-e-nāznīn-e-yār
motī haiñ kuuT kuuT ke goyā bhare hue
do din se paañv jo nahīñ dabvā.e yaar ne
baiThe haiñ haath haath ke uupar dhare hue
in abrūoñ ke halqa meñ vo añkhḌiyāñ nahīñ
do taaq par haiñ do gul-e-nargis dhare hue
ba.ad-e-fanā bhī aa.egī mujh mast ko na niiñd
be-ḳhisht-e-ḳham lahad meñ sirhāne dhare hue
nikleñ jo ashk be-asar āñkhoñ se kyā ajab
paidā hue haiñ tifl hazāroñ mare hue
likkhe ga.e bayāzoñ meñ ash.ār-e-intiḳhāb
raa.ij rahe vahī ki jo sikke khare hue
ulTā safoñ ko teġh ne abrū-e-yār kī
tīr-e-mizha se darham-o-barham pare hue
'ātish' ḳhudā ne chāhā to dariyā-e-ishq meñ
kuude jo ab kī ham to vare se pare hue