pise dil us kī chitvan par hazāroñ
mu-e-be-sāḳhta-pan par hazāroñ
mirī zid se huā hai mehrbāñ dost
mire ehsāñ haiñ dushman par hazāroñ
barā.e-shukr-e-qātil roñgToñ se
zabāneñ haiñ mire tan par hazāroñ
na aTkhelī se chal hote haiñ sadme
dil-e-shaiḳh-o-barahman par hazāroñ
huā sar ḳham na zer-e-teġh jallād
rahe bojh apnī gardan par hazāroñ
tire kushta haiñ ham āñkheñ maleñge
hamāre sañg-e-madfan par hazāroñ
na mal ai luabat-e-chīñ itr-e-gulzār
galā kāTeñge gulshan par hazāroñ
nahīñ ik mard ko duniyā se matlab
mareñ nāmard is zan par hazāroñ
ajab kyā hai agar parvāne be-shamā
jaleñ 'ātish' ke madfan par hazāroñ