kyā kyā na rañg tere talabgār lā chuke
mastoñ ko josh sūfiyoñ ko haal aa chuke
hastī ko misl-e-naqsh-e-kaf-e-pā miTā chuke
āshiq naqāb-e-shāhid-e-maqsūd uThā chuke
kaabe se dair dair se kaabe ko jā chuke
kyā kyā na is do-rāhe meñ ham pher khā chuke
gustāḳh haath tauq-e-kamar yaar ke hue
hadd-e-adab se paañv ko aage baḌhā chuke
kan.āñ se shahr-e-misr meñ yūsuf ko le ga.e
bāzār meñ bhī husn ko āḳhir dikhā chuke
pahuñche taḌap taḌap ke bhī jallād tak na ham
tāqat se haath paañv ziyāda hilā chuke
hotī hai tan meñ ruuh payām-e-ajal se shaad
din vāda-e-visāl ke nazdīk aa chuke
paimāna merī umr kā labrez ho kahīñ
saaqī mujhe bhī ab to pyāla pilā chuke
dīvāna jānte haiñ tirā hoshyār unheñ
jaame ko jism ke bhī jo purze uḌā chuke
be-vaj.h har dam aa.ina pesh-e-nazar nahīñ
samjhe ham aap āñkhoñ meñ apnī samā chuke
us dilrubā se vasl huā de ke jaan ko
yūsuf ko mol le chuke qīmat chukā chuke
uTThā naqāb chehra-e-zebā-e-yār se
dīvār darmiyāñ jo thī ham us ko Dhā chuke
zer-e-zamīñ bhī taḌpeñge ai āsmān-e-husn
betāb tere gor meñ bhī chain pā chuke
ārā.ish-e-jamāl balā kā nuzūl hai
andher kar diyā jo vo missī lagā chuke
do abrū aur do lab-e-jāñ-baḳhsh yaar ke
zindoñ ko qatl kar chuke murde jilā chuke
majbūr kar diyā hai mohabbat ne yaar kī
bāhar ham iḳhtiyār se haiñ apne jā chuke
sadmoñ ne ishq-e-husn ke dam kar diyā fanā
'ātish' sazā gunāh-e-mohabbat kī pā chuke