Sharib Mauranwi

zulm karte hue wo shaKHs larazta hi nahin

Sharib Mauranwi

zulm karte hue vo shaḳhs laraztā hī nahīñ
jaise qahhār ke ma.anī vo samajhtā hī nahīñ
jitnā bhī baañT sako baañT do is daulat ko
ilm ik aisā ḳhazāna hai jo ghaTtā hī nahīñ
hindū miltā hai musalmān bhī īsā.ī bhī
lekin is daur meñ insān to miltā hī nahīñ
merā bachcha bhī alag fikr kā mālik niklā
jo kabhī naqsh-e-qadam dekh ke chaltā hī nahīñ
is qadar sard-mizājī hai musallat ham par
koī bhī baat ho ab ḳhuun ubaltā hī nahīñ
kis tarah utregā āñgan meñ qamar ḳhushiyoñ kā
ġham kā sūraj kabhī dīvār se Dhaltā hī nahīñ
miT nahīñ saktā kabhī dāman-e-tārīḳh se daaġh
ḳhūn-e-mazlūm kabhī rā.egāñ hotā hī nahīñ
Top Urdushayar.com