Haidar Ali Aatish

libas-e-yar ko main para-para kya karta

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
libās-e-yār ko maiñ pāra-pāra kyā kartā
qabā-e-gul se use isti.āra kyā kartā
bahār-e-gul meñ haiñ dariyā ke josh kī lahreñ
bhalā maiñ kashtī-e-mai se kināra kyā kartā
naqāb ulaT ke jo muñh āshiqoñ ko dikhlāte
tumhīñ kaho ki tumhārā nazāra kyā kartā
sunā jo hāl-e-dil-e-zār yaar ne to kahā
tabīb marte hue kaahe chāra kiyā kartā
hilāl-e-īd kā har-chand ho jahāñ mushtāq
tumhārī abrūoñ kā sā ishāra kyā kartā
haqīqat-e-dahan-e-yār kholtā kyūñ-kar
nahufta raaz ko maiñ āshkāra kyā kartā
qadam ko pīchhe rah-e-ḳhaufnāk-e-ishq meñ rakh
ye pahle dekh le dil hai ishāra kyā kartā
ḳhum-e-sharāb se mujh mast ne na muñh pherā
kanār-e-āb se pyāsā kināra kyā kartā
bahār thī jo vo gul-chehra yaar bhī hotā
akele jā ke chaman kā nazāra kyā kartā
gudāz mom se har ustuḳhāñ ko paatā huuñ
phir aur sozish-e-dil kā harāra kyā kartā
baḌā hī ḳhvār ilāqa hai gulshan-e-ulfat
mirī tarah koī is meñ ijāra kyā kartā
sharāb-e-ḳhuld kī ḳhātir dahan hai rakhtā saaf
vazū meñ varna ye zāhid ġharāra kyā kartā
shikasta-dil na ho us but ke naaz se kyūñ-kar
sulūk shīsha se hai sañg-e-ḳhārā kyā kartā
bahār-e-gul meñ piyāla lagā liyā muñh se
sharāb piine ko maiñ istiḳhāra kyā kartā
faqīr ko nahīñ darkār shaan amīroñ kī
sar-e-barahna sar-e-goshvāra kyā kartā
bahār-e-gul meñ thā jaame se bāhar ai 'ātish'
na kartā maiñ jo garebāñ ko paara kyā kartā
Top Urdushayar.com