shab-e-furqat meñ yār-e-jānī kī
dard-e-pahlū ne mehrbānī kī
muñh dikhāo bahut rahī takrār
arinī aur lan-tarānī kī
jis ko kahte haiñ chaudhvīñ kā chāñd
terī tasvīr hai javānī kī
kamar-e-yār ho ga.ī ġhā.eb
sun ke dhuum apnī nā-tavānī kī
sūrat-e-hāl par hamāre mohr
daaġh ne zaḳhm ne nishānī kī
sair-e-ne.amat se do jahān kī kyā
de ke shabnam ko buuñd paanī kī
ho gayā ishq husn se nāgāh
pūchhte kyā ho nā-gahānī kī
dil-birishta huā jo misl-e-kabāb
maiñ ne turkoñ kī mehmānī kī
lab-e-jāñ-baḳhsh ke qarīb vo ḳhat
sharh hai matn-e-zindagānī kī
gosh-zad hote hī huī dushman
niiñd terī mirī kahānī kī
khīñchte us ġhazāl kī sūrat
chaukḌī bhūltī hai 'mānī' kī
mujh ko biThlā ke yaar sotā hai
āshiqī kī ki pāsbānī kī
rah gayā shauq-e-manzil-e-maqsūd
pā-e-ḳhufta ne sargirānī kī
misl-e-shabnam huuñ sāf-dil qaane
mujh ko dariyā hai buuñd paanī kī
barq chamkī to sarfarāz kiyā
abr aayā to mehrbānī kī
rāhat-e-marg ko na pūchh 'ātish'
na rahī qadr zindagānī kī