Haidar Ali Aatish

wahi chitwan ki KHun-KHwari jo aage thi so ab bhi hai

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
vahī chitvan kī ḳhūñ-ḳhvārī jo aage thī so ab bhī hai
tirī āñkhoñ kī bīmārī jo aage thī so ab bhī hai
vahī nashv-o-numā-e-sabza hai gor-e-ġharībāñ par
havā-e-charḳh-e-zañgārī jo aage thī so ab bhī hai
ta.alluq hai vahī tā-hāl un zulfoñ ke saude se
salāsil kī giraftārī jo aage thī so ab bhī hai
vahī sar kā paTaknā hai vahī ronā hai din bhar kā
vahī rātoñ kī bedārī jo aage thī so ab bhī hai
rivāj-e-ishq ke aa.iiñ vahī haiñ kishvar-e-dil meñ
rah-o-rasm-e-vafā jaarī jo aage thī so ab bhī hai
vahī jī kā jalānā hai pakānā hai vahī dil kā
vo us kī garm-bāzārī jo aage thī so ab bhī hai
niyāz-e-ḳhādimāna hai vahī fazl-e-ilāhī se
butoñ kī nāz-bardārī jo aage thī so ab bhī hai
firāq-e-yār meñ jis tarah se martā thā martā huuñ
vo ruuh o tan kī be-zārī jo aage thī so ab bhī hai
vahī saudā-e-kākul kā hai aalam jo ki sābiq thā
ye shab bīmār par bhārī jo aage thī so ab bhī hai
junūñ kī garm-joshī hai vahī dīvānoñ se apnī
vahī dāġhoñ kī gul-kārī jo aage thī so ab bhī hai
vahī bāzār-e-garmī hai mohabbat kī hanūz 'ātish'
vo yūsuf kī ḳharīdārī jo aage thī so ab bhī hai
Top Urdushayar.com