āshnā gosh se us gul ke suḳhan hai kis kā
kuchh zabāñ se kahe koī ye dahan hai kis kā
peshtar hashr se hotī hai qayāmat barpā
jo chalan chalte haiñ ḳhush-qad ye chalan hai kis kā
dast-e-qudrat ne banāyā hai tujhe ai mahbūb
aisā Dhālā huā sāñche meñ badan hai kis kā
kis tarah tum se na māñgeñ tumhīñ insāf karo
bosa lene kā sazā-vār dahan hai kis kā
shādi-e-marg se phūlā maiñ samāne kā nahīñ
gor kahte haiñ kise naam kafan hai kis kā
dahan-e-tañg hai mauhūm yaqīñ hai kis ko
kamar-e-yār hai ma.adūm ye zan hai kis kā
mufside jo ki hoñ us chashm-e-siyah se kam haiñ
fitna-pardāzī jise kahte haiñ fan hai kis kā
ek aalam ko tire ishq meñ saktā hogā
saaf ā.īna se shaffāf badan hai kis kā
husn se dil to lagā ishq kā bīmār to ho
phir ye unnāb-e-lab o seb-e-zaqan hai kis kā
gulshan-e-husn se behtar koī gulzār nahīñ
sumbul is tarah kā pur-pech-o-shikan hai kis kā
bāġh-e-ālam kā har ik gul hai ḳhudā kī qudrat
bāġhbāñ kaun hai is kā ye chaman hai kis kā
ḳhaak meñ us ko milā.ūñ use barbād karūñ
jaan kis kī hai mirī jaan ye tan hai kis kā
sarv sā qad hai nahīñ madd-e-nazar kā mere
gul sā ruḳh kis kā hai ġhuncha sā dahan hai kis kā
kyuuñ na be-sāḳhta bande hoñ dil-o-jāñ se nisār
qudrat allāh kī be-sāḳhta-pan hai kis kā
aaj hī chhūTe jo chhuTtā ye ḳharāba kal ho
ham ġharīboñ ko hai kyā ġham ye vatan hai kis kā
yaar ko tum se mohabbat nahīñ ai 'ātish'
ḳhat meñ alqāb ye phir mushfiq-e-man hai kis kā