Haidar Ali Aatish

dil shahid-e-rah-e-daman na hua tha so hua

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
dil shahīd-e-rah-e-dāmān na huā thā so huā
TukḌe TukḌe jo garebāñ na huā thā so huā
barq be-nūr hai us ruḳh kī chamak ke aage
ālam-e-nūr kā insāñ na huā thā so huā
rone par mere huā hañs ke vo gul sharminda
ġhuncha saañ sar-ba-garebāñ na huā thā so huā
maiñ ne rañgīñ na kiyā us kā taḌap kar dāman
sar-e-jallād pe ehsāñ na huā thā so huā
ho gayā dekh ke qaazī bhī taraf-dār us kā
be-gunah ḳhūn-e-musalmāñ na huā thā so huā
har zabāñ par mirī rusvā.ī kā afsāna hai
nusḳha-e-shauq pareshāñ na huā thā so huā
araq-ālūda jabīñ dekh kai dil Duub gayā
shabnam-e-bāġh se tūfāñ na huā thā so huā
qatl kar ke mujhe talvār ko toḌā us ne
ḳhūn-e-nāhaq se pashemāñ na huā thā so huā
yaar ke rū-e-kitābī kī karūñ kyā tārīf
ba.ad qur.āñ ke jo qur.āñ na huā thā so huā
aañsū āñkhoñ se nikaltā hai so chiñgārī hai
parda-e-dil se numāyāñ na huā thā so huā
ātish-e-ishq se hai daaġh sarāpā merā
aadmī sarv-e-charāġhāñ na huā thā so huā
gard-e-rah ban ke huā sandal-e-peshānī-e-yār
zarra ḳhurshīd-e-daraḳhshāñ na huā thā so huā
pahroñ hī misra.a-e-saudā hai rulātā 'ātish'
tujhe ai dīda-e-giryāñ na huā thā so huā
Top Urdushayar.com