dil bahut tañg rahā kartā hai
rañg be-rañg rahā kartā hai
husn meñ tere koī aib nahīñ
qubah meñ dañg rahā kartā hai
sulh kī dil se haiñ yaañ maslihateñ
vaañ sar-e-jañg rahā kartā hai
mohtasib ko tire mastānoñ se
ḳhauf-e-sarchañg rahā kartā hai
dil mirā pī ke mohabbat kī sharāb
nashsha meñ bhañg rahā kartā hai
fārsī aar hai mujh majnūñ ko
nañg se nañg rahā kartā hai
jauhar-e-teġh dikhātā hai husn
ishq chaurañg rahā kartā hai
guftanī haal nahīñ hai apnā
kuchh ajab Dhañg rahā kartā hai
halab-e-ruḳh meñ tire ḳhāloñ se
lashkar-e-zañg rahā kartā hai
manzil-e-gor ke dīvānoñ ke
siina par sañg rahā kartā hai
ālam-e-vajd tire mastoñ ko
be-daf-o-chañg rahā kartā hai
ḳhunduq-e-dast-e-sanam se nādim
gul-e-aurañg rahā kartā hai
tere gosh-e-shunavā kā mushtāq
har ḳhush-āhañg rahā kartā hai
bandish-e-chust se terī 'ātish'
qāfiya tañg rahā kartā hai