mile haiñ dard hī mujh ko mohabbatoñ ke evaz
sile meñ haath kaTe haiñ mashaqqatoñ ke evaz
ḳhamosh rah ke bhī maiñ guftugū karūñ un se
nigāh vo mirī paḌh leñ samā.atoñ ke evaz
gharoñ meñ sham.a kī sūrat vo raushnī kar ke
pighal rahā hai har ik pal tamāzatoñ ke evaz
na pūchho baap se apne kabhī shab-e-hijrat
milegā kyā tumheñ un kī vasiyyatoñ ke evaz
palaT ke ham ne bhī ik baar phir nahīñ dekhā
falak jo bech diye ham ne kal chhatoñ ke evaz
maiñ jī bhī jā.ūñ to tanhā.ī mujh ko Das legī
chahār samt muqātil haiñ qurbatoñ ke evaz
ai kaash merā bhī hamdard ho koī 'shārib'
mujhe rihā.ī dilā.e zamānatoñ ke evaz