Haidar Ali Aatish

fart-e-shauq us but ke kuche mein laga le jaega

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
fart-e-shauq us but ke kūche meñ lagā le jā.egā
kāba-e-maqsūd tak mujh ko ḳhudā le jā.egā
kaaT kar par bhī mujhe sayyād be-qābū na chhoḌ
nā-tavāñ huuñ baad kā jhokā uḌā le jā.egā
rote rote jaan jāvegī firāq-e-yār meñ
ashk kā dariyā mirā murda bahā le jā.egā
dil mirā muTThī meñ rakhte ho tumhāre haath se
chhīn kar ik din use duzd-e-hinā le jā.egā
misr tak pahuñche na jo kan.āñ se vo yūsuf huuñ maiñ
dast-e-iḳhvāñ se chhuTā to bheḌiyā le jā.egā
ek gul us baaġh kā bū-e-vafā rakhtā nahīñ
sabza-e-begāna shauq-e-āshnā le jā.egā
va.ada-e-sādiq to izrā.īl se hai dekhiye
is sire se mujh ko kab tak us sirā le jā.egā
bāġhbāñ gulshan ke darvāze ko kyā rakhtā hai band
kaun ġhunche kī kulah gul kī qabā le jā.egā
ustuḳhvāñ ujrat meñ deñge ham faqīr ai shāh-e-husn
arzī apne shauq kī tujh tak humā le jā.egā
kashtī-e-tan bahr-e-hastī meñ rahī barsoñ tabāh
paar ise ik dam meñ is kā nāḳhudā le jā.egā
husn dikhlā degā ai but tujh meñ shaan allāh kī
tere aage aalam apnī iltijā jā.egā
bose legā dast-e-teġh-e-qātil-e-bebāk ke
'ātish'-e-maqtūl apnā ḳhūñ-bahā le jā.egā
Top Urdushayar.com