Haidar Ali Aatish

na-fahmi apni parda hai didar ke liye

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
nā-fahmī apnī parda hai dīdār ke liye
varna koī naqāb nahīñ yaar ke liye
nūr-e-tajallī hai tire ruḳhsār ke liye
āñkheñ marī kalīm haiñ dīdār ke liye
fidye bahut us abru-e-ḳhamdār ke liye
chū rañg kī kamī nahīñ talvār ke liye
qaul apnā hai ye sub.ha-o-zunnār ke liye
do phande haiñ ye kāfir-o-dīñ-dār ke liye
lutf chaman hai bulbul gulzār ke liye
kaifiyat-e-sharāb hai mai-ḳhvār ke liye
serī na hogī tishna-e-dīdār ke liye
paanī nahīñ chah-e-zaqan-e-yār ke liye
utnī hī hai numūd merī yaar ke liye
shohra hai jis qadar mare ash.ār ke liye
dasht adam se aate haiñ baaġh jahāñ meñ ham
be-dāġh lāla-o-gul be-ḳhār ke liye
shamshād apne tire ko beche to lījiye
is laala ro kī lipaTtī dastār ke liye
do āñkheñ chehre par nahīñ tere faqīr ke
do Thekre haiñ bhiik ke dīdār ke liye
surma lagāyā kījiye āñkhoñ meñ mehrbāñ
iksīr ye sufūf hai bīmār ke liye
halqa meñ zulf-e-yār kī motī piroiye
dandāñ zarūr haiñ dahan-e-mār ke liye
guft-o-shunīd meñ huuñ basar din bahār ke
gul ke liye hai gosh zabāñ ḳhaar ke liye
be-yār sar paTakne se hiltā hai ghar mirā
rahtā hai zalzala dar-o-dīvār ke liye
baiThā jo us ke saaya meñ dīvāna ho gayā
saaya parī kā hai tirī dīvār ke liye
bulbul hī ko bahār ke jaane kā ġham nahīñ
har barg haath maltā hai gulzār ke liye
ai shāh-e-husn zulf o ruḳh o gosh chashm o lab
kyā kyā ilāqe haiñ tirī sarkār ke liye
chaal abr kī chalā jo gulistāñ meñ jhuum kar
tā.ūs ne qadam tire rahvār ke liye
aayā jo dekhne tire husn-o-jamāl ko
pakḌā gayā vo ishq ke begār ke liye
hājat nahīñ banāo kī ai nāznīñ tujhe
zevar hai sādgī tire ruḳhsār ke liye
bīmār tandurust ho dekhe jo ro.e yaar
kyā chāshnī hai sharbat dīdār ke liye
is bādshāh-e-husn kī manzil meñ chāhiye
bāl-e-humā kī par chatī dīvār ke liye
saudā-e-zulf-e-yār meñ kāfir huā huuñ meñ
sumbul ke taar chāhiyeñ zunnār ke liye
zanjīr o tauq jo ki hai bāzār-e-dahr meñ
saudā hai us parī ke ḳharīdār ke liye
chūnā baneñge ba.ad-e-fanā apne ustuḳhāñ
daulat sarā.e yaar kī dīvār ke liye
ma.ashūq kī zabān se hai dushnām dil pazīr
shīrīnī zahr hai tirī guftār ke liye
jaan se aziiz tar hai mare dil ko daaġh ishq
mahtāb lahad kī shab-e-tār ke liye
vo mast ḳhvāb chashm hai koī balā-e-bad
kyā martaba hai fitna-e-bedār ke liye
ḳhalvat se anjuman kā kahāñ yaar ko dimāġh
vo jins be-bahā nahīñ bāzār ke liye
pahnā hai jab se tū ne shab maah meñ use
kyā kyā shagūfe phūlte haiñ haar ke liye
chhakḌā hue haiñ soch ke rāh-e-vafā meñ paaoñ
pahiye lagā.iye unheñ raftār ke liye
jo mushtarī hai banda hai us ḳhush-jamāl kā
yūsuf bane ġhulām ḳharīdār ke liye
sone ke patte hoveñ har ik gul ke kaan meñ
maqdūr ho jo bulbul gulzār ke liye
gul-hā-e-zaḳhm se huuñ shahādat-talab nihāl
taufīq-e-ḳhair ho tirī talvār ke liye
andher hai jo dam kī na is ke ho raushnī
yūsuf mirā charāġh hai bāzār ke liye
ehsāñ jo ibtidā se hai ātish vahī hai aaj
kuchh intihā nahīñ karam-e-yār ke liye
Top Urdushayar.com