maut māñgūñ to rahe ārzū-e-ḳhvāb mujhe
Dūbne jā.ūñ to dariyā mile pāyāb mujhe
merī iizā ke liye murde meñ jaan aatī hai
kāTne dauḌtī hai māhī-e-be-āb mujhe
dahan-e-gurg se jiitā jo bachūñ sahrā meñ
zab.h karne ke liye mol le qassāb mujhe
huuñ tasavvur meñ safā-e-badan-e-yār ke ġharq
halqa-e-nāf huā halqa-e-girdāb mujhe
mardum-e-dīda-e-qurbānī huuñ maiñ dīvāna
aa.e darvāza khule bin na kabhī ḳhvāb mujhe
ai falak rahne de uryāñ hī pas-az-marg bhī tū
soñptā kyā hai kafan-duzd kā asbāb mujhe
nahīñ rakhte haiñ amīrī kī havas mard-e-faqīr
sher kī khaal hī hai qāqum-o-sanjāb mujhe
josh se ashkoñ ke phir jā.egā sar par paanī
khīñch le jā.egā dariyā meñ ye sailāb mujhe
dair o ka.aba meñ un āñkhoñ se nahīñ halqa-e-dar
koī abrū se dikhātā nahīñ mehrāb mujhe
furqat-e-yār meñ kartī hai qayāmat barpā
roz-e-mahshar se nahīñ kam shab-e-mahtāb mujhe
maraz-e-ishq se bach jā.ūñ jo tum dilvā do
sadqa apne lab-e-jāñ-baḳhsh kā unnāb mujhe
chain lene na diyā dard-e-judā.ī ne kabhī
kab maiñ soyā ki jagāyā nahīñ bad-ḳhvāb mujhe
nahīñ bholā hai junūñ meñ vo havās uḌ jaanā
yaad hai barhamī-e-sohbat-e-ahbāb mujhe
naam ko mere bhī ahbāb meñ apne likkhe
zarra samjhā rahe vo mahr-e-jahāñ-tāb mujhe
dil ġhanī chāhiye go huuñ maiñ faqīr ai 'ātish'
sher kī khaal hī hai qāqum-o-sanjāb mujhe