Haidar Ali Aatish

koi achchha nahin hota hai bari chaalon se

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
koī achchhā nahīñ hotā hai barī chāloñ se
lab-e-bām aa ke khaḌe ho na khule bāloñ se
roz-o-shab kis liye rahtā huuñ ilāhī betāb
na to goroñ se mohabbat na mujhe kāloñ se
josh-e-vahshat meñ jo jañgal kī taraf jā niklā
tap chaḌhī sher-e-niyastāñ ko mire nāloñ se
koī kuchh ishq kā kartā hai bayāñ koī kuchh
tañg aayā huuñ maiñ is qaziya ke dallāloñ se
beshtar sub.h-e-shab-e-vasl se ham guzreñge
zor-e-adbār chalegā na ḳhush-iqbāloñ se
mast hāthī hai tirī chashm-e-siyah mast ai yaar
saf-e-mizhgāñ use ghere hue hai bhāloñ se
rū-e-ḳhūbāñ se milegā hameñ bosa ki nahīñ
haal in shakloñ kā kuchh pūchhiye rammāloñ se
aarzī husn se nafrat ye huī hai dil ko
rutba zulfoñ ko nahīñ makḌiyoñ ke jāloñ se
ḳhat-e-shab-gūñ ne nikal kar abas andher kiyā
kāfiristāñ to vo ruḳh aage hī thā ḳhāloñ se
do jahāñ hashr ke din hoveñge bāham maujūd
muttafiq hoñge idhar vaale udhar vāloñ se
dil hasīnoñ ke tasavvur se banāyā ḳhālī
ā.īna-ḳhānoñ meñ kasrat rahī timsāloñ se
kuchh to halkā kareñ ḳhār-e-rah sahrā-e-junūñ
bojh lañgar kā hue haiñ kaf-e-pā chhāloñ se
in ke bosoñ kī tamannā hai laboñ ko 'ātish'
aa.ina kasb-e-safā karte haiñ jin gāloñ se
Top Urdushayar.com