Haidar Ali Aatish

ai junun hote hain sahra par utare shahr se

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
ai junūñ hote haiñ sahrā par utāre shahr se
fasl-e-gul aa.ī ki dīvāne sidhāre shahr se
ḳhuub ro.e haal par apne vatan kā sun ke haal
koī ġhurbat meñ jo aa niklā hamāre shahr se
jaan dūñgā maiñ asiir ai dosto chupke raho
zikr kyā us kā ki dīvāna sudhāre shahr se
mausam-e-gul meñ rahā zindāñ meñ aur aa.ī na maut
sāmne hotī nahīñ hai aañkh saare shahr se
josh-e-vahshat meñ jo lī zindāñ se maiñ ne rāh-e-dasht
kūd-kāñ mujh ko ḳhudā-hāfiz pukāre shahr se
paañv meñ majnūñ ke to tāqat nahīñ ai kūdko
mausam-e-gul kī huā tum ko ubhāre shahr se
ik nazar lillāh ham ko sūrat-e-zebā dikhāo
tishna-e-dīdār jaate haiñ tumhāre shahr se
dasht-gardī kī nahīñ dīvāne ko kuchh ehtiyāj
jaame se bāhar jo hai bāhar hai saare shahr se
uuñT sī lagtī hai dil jañgal se hotā hai uchāT
sañg-e-tiflāñ karte haiñ mujh ko ishāre shahr se
lāsh-e-vahshat se nahīñ pahuñchā maiñ sahrā tak hanūz
jaane vaale gor ke pahuñche kināre shahr se
mausam-e-gul aa.ī niyyat ser dīvānoñ kī ho
meva-e-sahrā.ī par haiñ muñh pasāre shahr se
ab to āzurda hai tū lekin malegā haath phir
jis ghaḌī 'ātish' nikal jāvegā pyāre shahr se
Top Urdushayar.com