Haidar Ali Aatish

husn-e-pari ek jalwa-e-mastana hai us ka

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
husn-e-parī ik jalva-e-mastāna hai us kā
hushyār vahī hai ki jo dīvāna hai us kā
gul aate haiñ hastī meñ adam se hama-tan-gosh
bulbul kā ye naala nahīñ afsāna hai us kā
giryāñ hai agar sham.a to sar dhuntā hai shola
mālūm huā soḳhta-parvāna hai us kā
vo shoḳh nihāñ-ganj kī mānind hai us meñ
māmūra-e-ālam jo hai vīrāna hai us kā
jo chashm ki hairāñ huī ā.īna hai us kī
jo siina ki sad chaak huā shāna hai us kā
dil qasr-e-shahanshah hai vo shoḳh us meñ shahanshāh
arsa ye do aalam kā jilau ḳhāna hai us kā
vo yaad hai us kī ki bhulā de do jahāñ ko
hālat ko kare ġhair vo yārāna hai us kā
yūsuf nahīñ jo haath lage chand diram se
qīmat jo do aalam kī hai bai.āna hai us kā
āvārgi-e-nik.hat-e-gul hai ye ishāra
jaame se vo bāhar hai jo dīvāna hai us kā
ye haal huā us ke faqīroñ se huvaidā
ālūda-e-duniyā jo hai begāna hai us kā
shukrāna-e-sāqi-e-azal kartā hai 'ātish'
labrez mai-e-shauq se paimāna hai us kā
Top Urdushayar.com