havā-e-daur-e-mai-e-ḳhush-gavār raah meñ hai
ḳhizāñ chaman se hai jaatī bahār raah meñ hai
gadā-navāz koī shahsavār raah meñ hai
buland aaj nihāyat ġhubār raah meñ hai
adam ke kuuch kī lāzim hai fikr hastī meñ
na koī shahr na koī dayār raah meñ hai
na badraqa hai na koī rafīq saath apne
faqat inā.yat-e-parvar-digār raah meñ hai
safar hai shart musāfir-navāz bahutere
hazār-hā shajar-e-sāya-dār raah meñ hai
maqām tak bhī ham apne pahuñch hī jā.eñge
ḳhudā to dost hai dushman hazār raah meñ hai
thakeñ jo paañv to chal sar ke bal na Thahr 'ātish'
gul-e-murād hai manzil meñ ḳhaar raah meñ hai