gar dar-e-harf-e-sadāqat ye nahīñ thā phir kyuuñ
tum ne taalā mire hoñToñ pe lagāyā phir kyuuñ
lab pe lafzoñ ke kañval tum ne sajā.e the agar
to takallum ke jazīroñ se kināra phir kyuuñ
maanā qaidī se hukūmat na Daregī lekin
sha-rāhoñ pe salāsil kā tamāsha phir kyuuñ
chīḳh uTThoge jo dekhīñ mirī banjar āñkheñ
shauq itnā thā to dariyā ko utārā phir kyuuñ
tum agar morid-e-ilzām nahīñ the to tumheñ
us adālat ne gunahgār banāyā phir kyuuñ
maslahat koī to darpesh thī 'shārib' varna
us ne tasvīr par ye rañg ubhārā phir kyuuñ