Haidar Ali Aatish

ai sanam jis ne tujhe chand si surat di hai

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
ai sanam jis ne tujhe chāñd sī sūrat dī hai
usī allāh ne mujh ko bhī mohabbat dī hai
teġh be-āb hai ne bāzū-e-qātil kamzor
kuchh girāñ-jānī hai kuchh maut ne fursat dī hai
is qadar kis ke liye ye jañg-o-jadal ai gardūñ
na nishāñ mujh ko diyā hai na tū naubat dī hai
saañp ke kaaTe kī lahreñ haiñ shab-o-roz ātīñ
kākul-e-yār ke saude ne aziyyat dī hai
aa.ī iksīr ġhanī dil nahīñ rakhtī aisā
ḳhāksārī nahīñ dī hai mujhe daulat dī hai
sham.a kā apne fatīla nahīñ kis raat jalā
amal-e-hub kī bahut ham ne bhī dāvat dī hai
jism ko zer zamīñ bhī vahī pahuñchā degā
ruuh ko jis ne falak sair kī tāqat dī hai
furqat-e-yār meñ ro ro ke basar kartā huuñ
zindagānī mujhe kyā dī hai musībat dī hai
yād-e-mahbūb farāmosh na hove ai dil
husn-e-niyyat ne mujhe ishq se ne.amat dī hai
gosh paidā kiye sunñe ko tirā zikr-e-jamāl
dekhne ko tire, āñkhoñ meñ basārat dī hai
lutf-e-dil-bastagī-e-āshiq-e-shaidā ko na pūchh
do jahāñ se is asīrī ne farāġhat dī hai
kamar-e-yār ke mazmūn ko bāñdho 'ātish'
zulf-e-ḳhūbāñ sī rasā tum ko tabī.at dī hai
Top Urdushayar.com