mai-e-gul-rañg se labrez raheñ jaam safed
chashm-e-bad-bīñ ko kare gardish-e-ayyām safed
bas-ki us but kī tabī.at hai zamāne se ḳhilāf
sub.h poshāk siyah hai to sar-e-shām safed
kaun sī shaam nahīñ sub.h huī ai maġhrūr
ek din hotī hai ye zulf-e-siyah-fām safed
qatra-e-ashk meñ surḳhī kā kahīñ naam nahīñ
lahū terā bhī huā ai dil-e-nākām safed
dil kī taskīñ ko maiñ paiġhām safā kā samjhūñ
purza kāġhaz kā jo bheje vo gul-andām safed
chāñdnī raat meñ vo maah jo yaad aatā hai
kāTne dauḌte haiñ mujh ko dar-o-bām safed
vasl kī shab jo huī sub.h yakāyak to huā
maiñ idhar zard udhar rū-e-dilārām safed
nisbat us fitna-e-daurāñ se koī andhā de
yaar kī aañkh siyah dīda-e-bādām safed
kisī hālat meñ nahīñ fikr se dushman ġhāfil
āfat-e-murġh hai rañgīn ho bādām safed
bas hai itnī hī zamāna kī do-rañgī 'ātish'
mai-e-gul-rañg se labrez raheñ jaam safed