tār-tār-e-pairahan meñ bhar ga.ī hai bū-e-dost
misl-e-tasvīr-e-nihālī maiñ huuñ ham-pahlū-e-dost
chehra-e-rañgīñ koī dīvān-e-rañgīñ hai magar
husn-e-matl.a haiñ masīñ matl.a hai saaf abrū-e-dost
hijr kī shab ho chukī roz-e-qayāmat se darāz
dosh se nīche nahīñ utre abhī gesū-e-dost
duur kar dil kī kudūrat mahv ho dīdār kā
aa.ine ko siina saafī ne dikhāyā rū-e-dost
vāh-re shāne kī qismat kis ko ye ma.alūm thā
panja-e-shal se khuleñge uqda-hā-e-mū-e-dost
dāġh-e-dil par ḳhair guzrī to ġhanīmat jāniye
dushman-e-jāñ haiñ jo āñkheñ dekhtī haiñ sū-e-dost
do mareñge zaḳhm-e-kārī se to hasrat se hazār
chaar talvāroñ meñ shal ho jā.egā bāzū-e-dost
farsh-e-gul bistar thā apnā ḳhaak par sote haiñ ab
ḳhisht zer-e-sar nahīñ yā takiya thā zānū-e-dost
yaad kar ke apnī barbādī ko ro dete haiñ ham
jab uḌātī hai havā-e-tund ḳhāk-e-kū-e-dost
us balā-e-jāñ se 'ātish' dekhiye kyūñkar bane
dil sivā shīshe se nāzuk dil se nāzuk ḳhū-e-dost