Haidar Ali Aatish

muntazir tha wo to just-o-ju mein ye aawara tha

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
muntazir thā vo to just-o-jū meñ ye āvāra thā
shefta terā hī thā jo sābit-o-sayyāra thā
hai jo hasrat to sarāpā chashm hone kī hameñ
hāsil is ā.īna-ḳhāna meñ faqat nazzāra thā
jab shab-e-mah meñ chakor uḌtā hai mar jaate haiñ ham
putliyoñ kā apnī bhī taara koī ruḳhsāra thā
khol kar dil jab maiñ rotā thā firāq-e-yār meñ
chashm-e-tar mamba.a thī har mū-e-mizha favvāra thā
sail-e-girya ne ye kis ke dī samundar ko shikast
jo habāb aayā nazar ik vāzhgūñ naqqārā thā
ek shab to vasl-e-jānāñ kī tavāzo ai falak
chaar din mehmān tere ghar meñ maiñ be-chāra thā
roz-o-shab ke haal kā likhtā thā parcha roz-o-shab
kātib-e-āmāl merī DevḌhī kā harkāra thā
pīTnā sar apne mātam meñ azīzo yaar kā
qil.a-e-kunj-e-lahad kī fat.h kā naqqārā thā
ahd-e-tiflī se junūn-e-ishq kāmil hai shafīq
shāḳh-e-naḳhl-e-bed-e-majnūñ se mirā gahvāra thā
jān-e-shīrīñ muzd jū-e-shīr meñ tesha ko dī
hausla se apne bāhar kohkan be-chārā thā
hālat-e-dil ko bayāñ kartā kisī se maiñ to kyā
ishq meñ ik mus.haf-e-ruḳhsār ke sīpāra thā
ye huā zāhir anā lailā-e-majnūñ se hameñ
apnā dīvāna thā apne vāste āvāra thā
haal apnā ai sanam apnī judā.ī meñ na pūchh
siina o sar thā hamārā aur sañg-e-ḳhārā thā
kūcha-e-qātil meñ jab shauq-e-shahādat le gayā
sar na thā gardan par apne bār-e-sad-pushtāra thā
loTtā thā is meñ bad-ḳhūī se maiñ mānind-e-ashk
shoḳhī-e-tiflān se jumbāñ mirā gahvāra thā
shān-e-ishq aulā hai majnūñ dūdmān-e-ishq se
nā-ḳhalaf nā-qābil o nālā.eq o nākārā thā
ahl-e-ālam se hamesha 'ātish' ī.zā.eñ huiiñ
mardum-e-duniyā namak the maiñ dil-e-sad-pāra thā
Top Urdushayar.com