Haidar Ali Aatish

unnab-e-lab ka apne maza kuchh na puchhiye

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
unnāb-e-lab kā apne mazā kuchh na pūchhiye
kis dard ke haiñ aap davā kuchh na pūchhiye
nāz-o-niyāz-e-āshiq-o-ma.ashūq kyā kahūñ
ijz o ġhurūr shaah o gadā kuchh na pūchhiye
ḳhushbū se ho rahā hai mo.attar dimāġh jaan
chaltī hai kis taraf kī havā kuchh na pūchhiye
kyā kyā nigah phisaltī hai ruḳhsār-e-yār par
kaisā ye aa.ina hai safā kuchh na pūchhiye
jaama se bāhar apne jo huuñ maiñ ajab nahīñ
khole haiñ kis ke band-e-qabā kuchh na pūchhiye
ā.īna le ke kījiye itnā mushāhida
ham se sulūk-e-sharm-o-hayā kuchh na pūchhiye
allāh ne kiyā hai kise bādshāh-e-husn
sar par hai kis ke zill-e-humā kuchh na pūchhiye
rañgīñ kiye haiñ yaar ne jaise ki dast-o-pā
kyā rañg lā rahī hai hinā kuchh na pūchhiye
nā-guftanī hai ishq-e-butāñ kā muāmla
har haal meñ hai shukr-e-ḳhudā kuchh na pūchhiye
kyā shai hai vo kamar jo guzartā hai ye ḳhayāl
aatī hai ġhaib se ye sadā kuchh na pūchhiye
kotāh ḳhāl-e-rū-e-munavvar hai kis qadar
kitnī hai zulf-e-yār rasā kuchh na pūchhiye
'ātish' gunāh-e-ishq kī ta.azīr kyā kahūñ
mushfiq jo kuchh hai us kī sazā kuchh na pūchhiye
Top Urdushayar.com