Haidar Ali Aatish

naz-o-ada hai tujhse dil-aram ke liye

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
nāz-o-adā hai tujh se dil-ārām ke liye
ye jaama qat.a hai tire andām ke liye
vahshat meñ kaabe ko jo gayā kū-e-yār se
latte junūñ ne jāma-e-ehrām ke liye
āshiq huuñ har tarah se gunahgār huuñ tirā
hājat qusūr kī nahīñ ilzām ke liye
kyā kyā japegī kaisā raTegī zabāñ use
tasbīh ham ne lī hai tire naam ke liye
tiflī ke girye kā ye khulā haal vaqt-e-marg
āġhāz hī meñ rote the anjām ke liye
achchhā nahīñ muqābla us chashm-e-shoḳh se
ik din shikast-e-fāsh hai bādām ke liye
vo naunihāl aa.e ilāhī murād par
hāsil ho puḳhtagī samar-e-ḳhām ke liye
har-chand apnā nāma-e-isyāñ siyāh ho
hogā safed sub.h hai har shaam ke liye
nāmard aur mard meñ itnā hī farq hai
vo naan ke liye mare ye naam ke liye
misl-e-kamand apnī rasā.ī hui agar
ai qasr-e-yār bose lab-e-bām ke liye
kyā chashm-e-mast-e-yār se tashbīh dījiye
kaifiyyat-e-nigāh nahīñ jaam ke liye
rakhvā ke zulfeñ yaar ne lākhoñ hī murġh-e-dil
paidā kiye haiñ kashmakash-e-dām ke liye
dil meñ sivā.e yaar jagah ho na ġhair kī
ḳhalvat sarā-e-ḳhās nahīñ aam ke liye
jaatā hai bahr-e-ġhusl jo ai ḳhush-dimāġh tū
jaltā hai uud garmī-e-hammām ke liye
'ātish' jo chāhe paa.e tavakkul ke mahkame
jo sub.h ko mile na rahe shaam ke liye
Top Urdushayar.com