Haidar Ali Aatish

bargashta-talai ka tamasha dikhaun main

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
bargashta-tāla.ī kā tamāshā dikhā.ūñ maiñ
ghar ko lage jo aag to paanī bujhā.ūñ maiñ
jins-e-girāñ-bahā kā ḳharīdār kaun hai
yaktā nahīñ ilāhī jo chorī hī jā.ūñ maiñ
lāla-ruḳhoñ ke husn kā bhūkā huuñ is qadar
dil ho na sair laakh agar daaġh khā.ūñ maiñ
āñkheñ mirī kare jo munavvar jamāl-e-yār
ghē ke charāġh tuur ke uupar jalā.ūñ maiñ
murde kī tarah sote haiñ kaise mire nasīb
Thokar se pā-e-yār ke un ko jagā.ūñ maiñ
bosa mile kamāñ kā jo abrū-e-yār kī
mehrāb-e-bait-e-ka.aba meñ chillā chaḌhā.ūñ maiñ
jī chāhtā hai shauq-e-shahādat meñ qabl-e-marg
banvā ke qabr-e-lāla ko us par lagā.ūñ maiñ
ghar meñ jo mujh faqīr ke vo shāh-e-husn aa.e
mizhgāñ ke boriye jo khaḌe haiñ bichhā.ūñ maiñ
kāñTā sukhā ke hijr ne har-chand kar diyā
vo gul-badan mile to na phūlā samā.ūñ maiñ
tum to ġharīb-ḳhāne meñ aa.e na ek roz
farmā.iye to shab ko kisī vaqt aa.uuñ maiñ
bārīk-bīñ huuñ shā.er-e-nāzuk-ḳhayāl huuñ
mazmūñ jahāñ kamar kā mile bāñdh lā.ūñ maiñ
'ātish' ġhulām-e-sāqi-e-kausar huuñ chāhiye
firdaus kā khulā huā darvāza pā.ūñ maiñ
Top Urdushayar.com