jab ke rusvā hue inkār hai sach baat meñ kyā
ai sanam lutf hai parde kī mulāqāt meñ kyā
koī andhā hī tujhe maah kahe ai ḳhurshīd
farq hotā nahīñ insān se din raat meñ kyā
yaar ne vāda-e-fardā-e-qayāmat to kiyā
shak hai ai nāla-e-dil terī karāmāt meñ kyā
koī but-ḳhāne ko jaatā hai koī ka.aba ko
phir rahe gabr-o-musalmāñ haiñ tirī ghaat meñ kyā
ek muddat se huuñ saa.il tire darvāze par
bosa yā gaalī milegā mujhe ḳhairāt meñ kyā
aisī ūñchī bhī to dīvār nahīñ ghar kī tire
raat añdherī koī āvegī na barsāt meñ kyā
do ghaḌī kī jo mulāqāt thī vo bhī mauqūf
aisā paḌtā thā ḳhalal yaar kī auqāt meñ kyā
paḌh ke ḳhat aur bhī māyūs hue vasl se ham
yaar ne bhejā safar se hameñ sauġhāt meñ kyā
ātish-e-mast jo mil jaa.e to pūchhūñ us se
tū ne kaifiyyat uThā.ī hai ḳharābāt meñ kyā