parda-e-ruḳh kyā uThā har-sū ujāle ho ga.e
sab añdhere dāman-e-shab ke havāle ho ga.e
maiñ ne jab chāhā ki hoñ sairāb dil kī hasrateñ
saare lamhe zindagī ke ḳhushk pyāle ho ga.e
buġhz-o-nafrat ke dhuveñ se ghuT rahe the sab ke dam
jal ga.iiñ jab pyaar kī sham.eñ ujāle ho ga.e
hasratoñ ko manzileñ mil jaa.eñ mumkin hī nahīñ
ḳhvāhishoñ ke rāste ab aur kaale ho ga.e
ab kahīñ aisā na ho nāsūr ban jaa.eñ ye sab
dil pe jitne bhī nishāñ the vo to chhāle ho ga.e
mujh ko maidān-e-musībat meñ akelā dekh kar
mujh se aage merī himmat ke risāle ho ga.e
saañp kī mānind ye bhī ek din Das jā.egā
chashm-e-hasrat meñ bahut din ḳhvāb paale ho ga.e
ek koshish aur kar ke dekhte 'shārib'-miyāñ
ab bahut din aap ko kīchaḌ uchhāle ho ga.e