josh-o-ḳharosh par hai bahār-e-chaman hanūz
piite haiñ nau-javān sharāb-e-kuhan hanūz
paatā nahīñ maiñ yaar ko mel-e-suḳhan hanūz
ma.adūm hai kamar kī tarah se dahan hanūz
barsoñ se ro rahā huuñ shab-o-roz muttasil
hañste haiñ muddatoñ se mire zaḳhm-e-tan hanūz
ruḳhsār-e-yār par nahīñ āġhāz-e-ḳhat abhī
dekhā nahīñ in āñkhoñ ne sūraj gahan hanūz
anjām-e-kār kā nahīñ aatā ḳhayāl kuchh
ġhurbat meñ bhūle baiThe haiñ yār-e-vatan hanūz
aalam un abruoñ kī kajī kā jo hai so hai
bal khā rahī hai zulf-e-shikan-dar-shikan hanūz
ḳhil.at kī kyā umiid rakheñ āsmāñ se ham
us ne to daab rakkhā hai apnā kafan hanūz
aalam hijāb-e-yār kā tā-hāl hai vahī
ḳhalvat-nashīñ hai raushnī-e-anjuman hanūz
apne safā-e-sīna kā hairān kaar hai
dekhā nahīñ hai aa.ine ne vo badan hanūz
har-chand bāġh-e-dahr meñ muddat se huuñ muqīm
'ātish' nazar paḌā na vo seb-e-zaqan hanūz