Haidar Ali Aatish

kucha-e-dilbar mein main bulbul chaman mein mast hai

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
kūcha-e-dilbar meñ maiñ bulbul chaman meñ mast hai
har koī yaañ apne apne pairahan meñ mast hai
nashsha-e-daulat se mun.im pairahan meñ mast hai
mard-e-muflis hālat-e-rañj-o-mehan meñ mast hai
daur-e-gardūñ hai ḳhudāvandā ki ye daur-e-sharāb
dekhtā huuñ jis ko maiñ us anjuman meñ mast hai
aaj tak dekhā nahīñ in āñkhoñ ne rū-e-ḳhumār
kaun mujh sā gumbad-e-charḳh-e-kuhan meñ mast hai
gardish-e-chashm-e-ġhazālāñ gardish-e-sāġhar hai yaañ
ḳhush raheñ ahl-e-vatan dīvāna-pan meñ mast hai
hai jo hairān-e-safā.e-ruḳh halab meñ ā.īna
bū-e-zulf-e-yār se aahū ḳhutan meñ mast hai
ġhāfil o hoshyār haiñ us chashm-e-mai-gūñ ke ḳharāb
zinda zer-e-pairahan murda kafan meñ mast hai
ek sāġhar do jahāñ ke ġham ko karnā hai ġhalat
ai ḳhushā-tāle jo shaiḳh-o-barhaman meñ mast hai
vahshat-e-majnūñ-o-'ātish' meñ hai bas itnā hī farq
koī ban meñ mast hai koī vatan meñ mast hai
Top Urdushayar.com