Haidar Ali Aatish

hubab-asa mein dam bharta hun teri aashnai ka

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
hubāb-āsā meñ dam bhartā huuñ terī āshnā.ī kā
nihāyat ġham hai is qatre ko dariyā kī judā.ī kā
asiir ai dost tere āshiq o ma.ashūq donoñ haiñ
giraftār āhanī zanjīr kā ye vo talā.ī kā
ta.alluq ruuh se mujh ko jasad kā nā-gavārā hai
zamāne meñ chalan hai chaar din kī āshnā.ī kā
firāq-e-yār meñ mar mar ke āḳhir zindagānī ke
rahā sadma hamesha ruuh o qālib kī judā.ī kā
huī manzūr muhtāj na tujh ko apnī saa.il ke
banāyā kāsa-e-sar vāzhgūñ kaasa gadā.ī kā
nazar aatī haiñ har-sū sūrateñ hī sūrateñ mujh ko
koī ā.īna-ḳhāna kārḳhāna hai judā.ī kā
visāl-e-yār kā va.ada hai fardā-e-qayāmat par
yaqīñ mujh ko nahīñ hai gor tak apnī rasā.ī kā
bharosa aah par hargiz nahīñ ai yaar āshiq ko
shikār ab tak kahīñ dekhā nahīñ tīr-e-havā.ī kā
dikhāyā husn se e.ajāz-e-mūsī cilk-e-qudarat ne
yad-e-baizā banāyā chuur añgusht-e-hinā.ī kā
nahīñ miTtī hai patthar kī lakīr ahbāb kahte haiñ
rahegā pā-e-but par naqsh apnī jab.ha-sā.ī kā
shikast-e-ḳhātir-e-ahbāb hotī hai durust is se
tavajjoh meñ tirī ai yaar asar hai momyā.ī kā
dil apnā ā.īna se saaf ishq-e-pāk rakhtā hai
tamāshā dekhtā hai husn is meñ ḳhud-numā.ī kā
kaf-e-afsos malvātī hai terī pāk-dāmānī
pinhā kar shāhid-e-ismat ko jaama pārsā.ī kā
nahīñ dekhā hai lekin tujh ko pahchānā hai 'ātish' ne
bajā hai ai sanam jo tujh ko da.avā hai ḳhudā.ī kā
Top Urdushayar.com