Haidar Ali Aatish

chaman mein rahne de kaun aashiyan nahin malum

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
chaman meñ rahne de kaun āshiyāñ nahīñ ma.alūm
nihāl kis ko kare bāġhbāñ nahīñ ma.alūm
mire sanam kā kisī ko makāñ nahīñ ma.alūm
ḳhudā kā naam sunā hai nishāñ nahīñ ma.alūm
aḳhīr ho ga.e ġhaflat meñ din javānī ke
bahār-e-umr huī kab ḳhizāñ nahīñ ma.alūm
ye ishtiyāq-e-shahādat meñ mahv thā dam-e-qatl
lage haiñ zaḳhm badan par kahāñ nahīñ ma.alūm
sunā jo zikr-e-ilāhī to us sanam ne kahā
ayaañ ko jānte haiñ ham nihāñ nahīñ ma.alūm
kiyā hai kis ne tarīq-e-sulūk se āgāh
murīd kis kā hai pīr-e-muġhāñ nahīñ ma.alūm
mirī tarah to nahīñ us ko ishq kā āzār
ye zard rahtī hai kyuuñ za.afarāñ nahīñ ma.alūm
jahān o kār-e-jahāñ se huuñ be-ḳhabar maiñ mast
zamīñ kidhar hai kahāñ āsmāñ nahīñ ma.alūm
supurd kis ke mire ba.ad ho amānat-e-ishq
uThā.e kaun ye bār-e-girāñ nahīñ ma.alūm
ḳhamosh aisā huā huuñ maiñ kam-dimāġhī se
dahan meñ hai ki nahīñ hai zabāñ nahīñ ma.alūm
mirī tumhārī mohabbat hai shohra-e-āfāq
kise haqīqat-e-māh-o-katāñ nahīñ ma.alūm
kis ā.īne meñ nahīñ jalva-gar tirī timsāl
tujhe samajhte haiñ ham īn-o-āñ nahīñ ma.alūm
milā thā ḳhizr ko kis tarah chashma-e-haivāñ
hameñ to yaar kā apne dahāñ nahīñ ma.alūm
khulī hai ḳhāna-e-sayyād meñ hamārī aañkh
qafas ko jānte haiñ āshiyāñ nahīñ ma.alūm
tarīq-e-ishq meñ dīvāna-vār phirtā huuñ
ḳhabar gaḌhe kī nahīñ hai kuaañ nahīñ ma.alūm
jo ho to shauq hī ho kū-e-yār kā haadī
kisī ko varna sabīl-e-jināñ nahīñ ma.alūm
dahan meñ aap ke albatta ham ko hujjat hai
kamar kā bhed jo pūchhūñ miyāñ nahīñ ma.alūm
nasīm-e-sub.h ne kaisā ye us ko bhaḌkāyā
hanūz ātish-e-gul kā dhuāñ nahīñ ma.alūm
suneñge vāqi.a us kā zabān-e-sausan se
shahīd kis kā hai ye arġhavāñ nahīñ ma.alūm
kanār-e-āb chale daur-e-jām yā lab-e-kisht
shikār hove bat-e-mai kahāñ nahīñ ma.alūm
rasā.ī jis kī nahīñ ai sanam dar-e-dil tak
yaqīñ hai us ko tirā āstāñ nahīñ ma.alūm
ajab nahīñ hai jo ahl-e-suḳhan hoñ gosha-nashīñ
kisī dahan meñ zabāñ kā makāñ nahīñ ma.alūm
chhuTeñge ziist ke phande se kis din ai 'ātish'
janāza hogā kab apnā ravāñ nahīñ ma.alūm
Top Urdushayar.com