āḳhir-e-kār chale tiir kī raftār qadam
ġhair manzil na paḌe raah meñ zinhār qadam
uTh ga.e vasl kī shab peshtar-az-yār qadam
aage ham umr-e-ravāñ se bhī chale chaar qadam
kū-e-maqsūd se yuuñ rakhtī hai ġhaflat mujhe duur
jaise so jaane se ho jaate haiñ be-kār qadam
ahl-e-ālam meñ huuñ maiñ zindoñ meñ murdoñ kī tarah
baḌh chaleñ laakh magar saath haiñ do chaar qadam
ek muddat se rah-e-kāba meñ āvāra haiñ
kyā ḳhudā kā mujhe dikhlā.eñge dīdār qadam
josh-e-vahshat meñ bhī maiñ chaḌh ke na us par dauḌā
le ga.e hasrat-e-ḳhār-e-sar-e-dīvār qadam
sūrat-e-barg-e-ḳhizāñ jhaḌte haiñ har gaam gunāh
jab uThāte haiñ tirī raah meñ zavvār qadam
ai junūñ koh-o-bayābān bhī dikhlā mujh ko
raheñ pastī o bulandī se ḳhabar-dār qadam
kūcha-gardī ye shab-o-roz kī be-vaj.h nahīñ
eḌiyāñ ragḌeñge kis ke pas-e-dīvār qadam
jāda-e-rāh-e-mohabbat ko ḳhat-e-mustar jaan
sar ke bal misl-e-qadam chal jo hoñ be-kār qadam
ḳhaak bhī huuñ to huuñ ḳhāk-e-dar us kā 'ātish'
jis ke the dosh-e-payambar ke sazā-vār qadam