vo nāznīñ ye nazākat meñ kuchh yagāna huā
jo pahnī phūloñ kī baddhī to dard-e-shāna huā
shahīd nāz-o-adā kā tire zamāna huā
uḌāyā mehñdī ne dil chor kā bahāna huā
shab us ke afa.ī-e-gesū kā jo fasāna huā
havā kuchh aisī bañdhī gul charāġh-e-ḳhāna huā
na zulf-e-yār kā ḳhāka bhī kar sakā maanī
har ek baal meñ kyā kyā na shāḳhsāna huā
tavañgaroñ ko mubārak ho sham-e-kafūrī
qadam se yaar ke raushan ġharīb-ḳhāna huā
gunāhgār haiñ mehrāb-e-teġh ke sājid
jhukāyā sar to adā farz-e-panj-gāna huā
ġhurūr-e-ishq ziyāda ġhurūr-e-husn se hai
idhar to aañkh bharī dam udhar ravāna huā
dikhā de zāhid-e-maġhrūr ko bhī ai sanam aañkh
jamāl-e-hūr kā had se sivā fasāna huā
bharā hai shīsha-e-dil ko na.ī mohabbat se
ḳhudā kā ghar thā jahāñ vaañ sharāb-ḳhāna huā
havā.e tund na chhoḌe mire ġhubār kā saath
ye gard-e-rāh kahāñ ḳhāk-e-āstāna huā
ḳhudā ke vāste kar yaar chīn-e-abrū duur
baḌā hī aib lagā jis kamāñ meñ ḳhāna huā
huā jo din to huā us ko paas rusvā.ī
jo raat aa.ī to phir niiñd kā bahāna huā
na pūchh haal mirā chob-e-ḳhushk-e-sahrā huuñ
lagā ke aag mujhe kārvāñ ravāna huā
nigāh-e-nāz-e-butāñ se na chashm-e-rahm bhī rakh
kisī kā yaar nahīñ fitna-e-zamāna huā
asar kiyā tapish-e-dil ne āḳhir us ko bhī
raqīb se bhī mirā zikr ġhā.ebāna huā
havā.e tund se pattā agar koī khaḌkā
samand-e-bād-e-bahārī kā tāziyāna huā
zabān-e-yār ḳhamoshī ne merī khulvā.ī
maiñ qufl ban ke kalīd-e-dar-e-ḳhazāna huā
kiyā jo yaar ne kuchh shaġhl-e-barq-añdāzī
charāġh-e-zindagī-e-ḳhizar tak nishāna huā
rahā hai chāh-e-zaqan meñ mirā dil-e-vahshī
kuñ.eñ meñ jañgalī kabūtar kā āshiyāna huā
ḳhudā darāz kare umr-e-charḳh-e-nīlī ko
ye be-kasoñ ke mazāroñ kā shāmiyāna huā
nahīñ hai misl-e-sadaf mujh sā dūsrā kam-baḳht
nasīb-e-ġhair mire muñh kā āb-o-dāna huā
hinā.ī hāthoñ se choTī ko kholtā hai yaar
kahāñ se panjā-e-marjāñ harīf-e-shāna huā
dikhā.ī chashm-e-ġhazālāñ ne halqa-e-zanjīr
hameñ to gosha-e-sahrā bhī qaid-ḳhāna huā
hamesha shaam se ham-sā.e mar rahe 'ātish'
hamārā nāla-e-dil gosh ko fasāna huā