Haidar Ali Aatish

dil-lagi apni tere zikr se kis raat na thi

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
dil-lagī apnī tire zikr se kis raat na thī
sub.h tak shaam se yā-hū ke sivā baat na thī
iltijā tujh se kab ai qibla-e-hājāt na thī
terī dargāh meñ kis roz munājāt na thī
ab mulāqāt huī hai to mulāqāt rahe
na mulāqāt thī jab tak ki mulāqāt na thī
ġhuncha-e-gul ko na hañsnā thā tirī sūrat se
chhoTe se muñh kī sazā-vār baḌī baat na thī
ibtidā se tujhe maujūd samajhtā thā maiñ
mire tere kabhī parde kī mulāqāt na thī
ai nasīm-e-saharī bahr-e-asīrān-e-qafas
tohfa-tar nik.hat-e-gul se koī sauġhāt na thī
un dinoñ ishq rulātā thā hameñ sūrat-e-abr
kaun sī fasl thī vo jis meñ ki barsāt na thī
kyā kahūñ us ke jo mujh par karam-e-pinhāñ the
zāhirī yaar se har-chand mulāqāt na thī
apne bāñdhe ho.e gaatī tujhe dekhā phaḌkā
dilrubā shai thī mirī jaan tirī gaat na thī
ik meñ mil ga.e ai shāh-savār ahl-e-niyāz
nāz-e-ma.ashūq thā tū sun kī tire laat na thī
lab ke bose kā hai inkār ta.ajjub ai yaar
phere saa.il se jo muñh ko vo tirī zaat na thī
kamar-e-yār thī az-bas-ki nihāyat nāzuk
sūjhtī bandish-e-mazmūñ kī koī ghaat na thī
un dinoñ hotā thā tū ghar meñ hamāre shab-bāsh
roz-e-raushan se kam ai mehr-e-liqā raat na thī
be-shu.ūroñ ne na samjhā to na samjhā 'ātish'
nukta-sanjoñ ko latīfa thī tirī baat na thī
Top Urdushayar.com